Adsense me Unauthorised aa raha hai... 3 din se

meri ek site hai jo germany based hai usme mujhe adsense ka approval mil gaya hai… lekin usme ads.txt file verified nahi ho rahi hai… me kya karu?

mene jab adsense ke liye bheja to ezoic ne bhi approval ke liye bheja tha… ezoic me nameservers change karne hote hai to sidha nameservers ko likh ke change nahi ho raha tha… to mene ezoic ka plugin dalke website ko integration karvaya tha tab jake nameservers change hue the… ab ezoic me to approval nahi mila lekin adsense me mil gaya hai…

site me ads.txt likhte hai to vaha par ezoic ka kafi kuch likh ke a rha hai or sath me kafi google publisher id dikhai de rahi hai…

mene ads.txt manager plugin bhi dalke check kar liye hai usme bhi 2 din hua sab kuch verified karke… lekin ab tak unauthorised hi likha aa raha hai…

abhi mene ezoic ka nameservers hata diya hoon or website ko ezoic se hata raha hoon… ye mera abhi ka step hai… ab aage kya hota hai me dekhta hoon…

please kisiko pata ho kis tarike se fix karu isko… mera din ka 400 traffic hai germany se accha paisa ban jata usme or mere case study bhi aa jati vikas bhai se group se ek or paise kamane wala banda​:blush::blush:

please mujhe koi idea de me 3 din se pareshan ho gaya hoon ki kya karu… ads hi nahi dikh rahe hai… paise nahi ban rahe hai…

1 Like

First remove ezoic completely. Ezoic plugin also, then clear cache your site.

Add ads.txt file in file manager

1 Like

okk bro… vaise vahi request dal diya hai…

Finally… Verified ho gaya bro… thanks…

And thank you vikas sir🙏

1 Like

On which niche you have worked?