Mene 27 April 2023 ko meri Marathi regional site shuru ki thi yojana niche pe.
Dec 2023 se acha traffic aana shuru huva tha, kuch 30k volume ke keyword pe site 1st position pe thi.
Dec se March Tak mere 191$ ho Gaye the, mera First Payment Bhi abhi pichle month me 26 March ko aaya tha, 191$ ka.
90$ Adsense me the the, but March month me hi, site Google ki update ki vajah se hit ho gai.
Then Mera Jo daily 4-6k ka traffic tha vo sidhe 500-1000 pr aa gya.
Bad me maine post dala to vo rank nahi ho raha tha, is vajah se maine 20 days se ek bhi post nahi dala.
Fir bhi daily 0.50-1$ Bn Raha tha site Pe, to Maine 5 April ko ek site resell krne vale se contact kr ke site sell krne ko bola.
Isme bhi ek bohot interesting bat Hui, vo me bad me kabhi batata hu. Maine ek zarkhand ke bande ko meri site 25k me sell kr di.
But Mera domain isi month 27 April 2024 ko expire hone vala tha, us vjah se us bande ne 1k kat liye, and muze 24k de diye.
Aur ese mene 24k me meri Marathi site sell kr di. Yojana vali vo bhi March Update hit
Sell krte vakt daily traffic 250 aa Raha tha.
Total Marathi yojana articles 77 the.
Backlink bhi kuch khas nahi thi, maine to kuch bnai bhi nahi thi, jab Mera ek vo 30k volume vala keyword rank huva tha, tab kuch organic 6 backlink mile the.
Is blog se maine abhi tak earning ki he…
First payment - 191$ 16k ke krib
Site selling - 24k
Total - 40k Earning ek blog se 1 year me. (Vaise to earning asal me sahi Dec se start Hui thi)
Abhi me US Niche pe Kam krne vala hu, ek niche mili hai, 10 compitators he, and sab ne sirf 20-30 articles likhe he… So ab us me Kam karna he @bloggervikash and @SiddhartH_SolankI Sir ke Videos dekh ke… by the way ye niche muze Sid sir ke lastest video se mili he…
Sorry ye meri first time Case Study he, man me Jo aaya vo Maine likh Diya… kuch galt ho Gaya ho to sorry…