Doston,
Ek zaruri news deni thi apko.
Maine 3 din pehle hindi blog kay liye “.in.org” domain liya tha.
Sub aram se hogaya, domain buy karne ke ek din baad mujhe email aati hai domain registrar ki taraf se kay NIXI “National Internet Exchange of India” nay mere domain per ServerHold laga diya hai.
Kher mene kaafi haath paon maare magr kuch nahi huwa.
Mere domain registrar ne bataya kay NIXI ko mera each and every identity document chaiye, like adhaar card/national identity card, driving license, phone number, picture, home address and much more (zaahir hai itna sub kuch mene dena nahi tha).
Kher mene phir Youtube per aur Google per NIXI kay baare main search kia to pata laga kay NIXI ko government of india ne banaya hai aur us kay zarye almost every “.in” domain ko BAN karna hai (is bekar baat ka reason wohi jaante hain).
Ap log lazmi Youtube per “NIXI serverHold” likha kar search karen, India kay ladke ro rahe hain, aur MediaNamaDOTcom per bhi NIXI type karen to Best article ajayenge, jo is nixi jipsi ki haqeeqat bataenge.
Ab sub hindi blogging waale hoshyar hojao. Batana mera farz tha.
Acha agr kisi kay pas is ka solution hai to zarur batana.
Yad rakho kay tum nixi ko documents de bhi do ge tab bhi wo reply nahi dete, naa hi domain per se hold hatate hain.
Last but not the least, kay mere domain registrar ne mere pese return kardiye aur mera liya huwa domain cancel kar diya mere kehne per because mene process fast chalaya tha agr late hojata to cancellation possible nahi thi.
Mene abhi hindi blogging start bhi nahi ki thi kay pehli dafa men hi domain block hogaya:(. Ab “.in” domain lena khawb hi rahe ga.