How I Removed Ad Limit From My Blog Within 8 Days?

Mere site pe 8 augest ko ad limit lagi thi, vo maine sirf 8 days me remove kr di, vo kaise?

To shuru se batata hu,

7 Augest ko muze mere new site pe adsense approval mila.

site pe tab daily 8000 ke page views the,

ekdam se jyda traffic hone ke vajah se dusre din 8 Augest ko Mere Blog pe Ad limit lag gai.

actualy mere blogging career ki ye peheli ad limit thi.

site pe jaise taise to adsense mila tha, lekin ad limit lagne ke kran me bohot pareshn ho gaya.

maine @bloggervikash @digitalmarketerrahul @Sky @Yashraj sir se es bare me pucha unhone muze ad limit htane me help ki.

  • Auto Ads Off mat krna.
  • site se adsense ka code mat nikalna.
  • google site kit plugin ko Deactive yafir Uninstall mat krna.
  • site pe regularly post dalo.
  • Jaha se aapka sabse jyada traffic aata hai vaha post share karo. like (whatsapp group, telegram channel)
  • Adsense ko Feedback massage kro.

asal me mere blog ki ad limit bohot pehale hi remove ho sakti thi, but pehli bar hone ke vajah se maine kuch galtiya ki.

  • maine site se ad code hata diya.
  • site kit plugin puri tarike se uninstall kr diya.
  • auto ads bhi band kr diye.
  • and new post bhi nahi dali. (soch raha tha traffic kam hone se ad limit hat jayegi :sweat_smile:)
  • Mera sabse jyada direct traffic whtsapp se tha, vaha maine post sharing nahi ki.

en galtiyo ki vajah se ad limit hatne me 8 din lage.

maine meri galtiya kaise sudhari?

  • to sabse pehale maine ad code and site kit dubara install kiya.
  • auto ads on kr diye.
  • 2 article likhe and unko mere blog ke whtsapp group me share kr diya.

eski vajah se mere site se ad limit hat gai.

dekho bat ye hai ki google site ki traffic check krne ke liye ad limit lagata hai. aur agar hamne google se site ka access hi off kr diya, to vo kaise hmara traffic major kr payega? us vajah se auto ads on rakho, jaisa kam shuru he vo krte jao, aur jaha se aapka traffic aata he vaha post jrur share krna.

aur ek advance bat, Adsesne ko Massage karo.

  • google adsense me jo ad limit ka massge aata hai na, vaha policy center pr click krke ad limit ka masaage open kro.
  • Adsense dashboard ke left bottom side ke feedback option pe click kro.
  • Describe your feedback me google ko bata do ki mere site ka traffic organic hai, invalid nahi hai, and as soon as ad limit remove krne ke liye bolo.
  • bad me capture screenshot pe click krke ad limit ke massage ki screenshot nikalo.
  • fir check box fill krke send pr click kr do, google adsense aapka feedback check krega and upr btaye huye sabhi points ok hai, to aapke blog ki ad limit hat jayegi.

So agar aap ke bhi adsense account me ad limit lag gai hai to, maine jo points bataye hai unka implement krna, aapki ad limit 8 se 10 days me remove ho jayegi.

7 Likes